Taleem shareef:
Allah say apna maamla bana kay rakhein, achay amal ki ahmiyat, zikr azkaar ki pabandi karein, dunya momin kay liye qaid khana, takabur say bachein, dil ka zinda hona zaroori hai, Aaqa Ji (saw) say dil lagain, niyat dil theek rakhein, yaqeen tab hoga jab karam hoga, gungunaye ashaar (dil ko Khuda gar akal day, jo terey (saw) saharay, Un (saw) ki nigah mein jo aagaya), aaraam ki ijazat kay Allah niyat ko dekhta hai, jab tak kuch dikhey nahin dil nahin lagta, mangtay rehnay say kuch mil jata hai, jab karam ho to acha bura nahin dekha jata, Sheikh sahab kay pass say koi ja nahin sakta or koi jana bhi nahin chahta
Naat shareef:
- Ussay koi taqat hilanain na paiy, jo teray saharay pay jam kar khara hai
- Toor par musa gaye kia dekhnein, jalwa e Noor e Mohammed (saw) dekhiye
- Aag dil mein lagi uth raha hai dhuwaan, apni halat pay har dam karon main fugaan
- Zindagi ki sari lazzat Un (saw) kay paimaney mein hai, baksh de saqi mujh ko jitni bhi meinkhanay mein hai
- Kisi nai baghair Un (saw) kay hergiz na pai, na izzat na azmat na farma rawai
- Chand naatia ashaar