4 November 1999 - Miraaj Shareef mehfil (27 Rajab 1420)
04-11-1999
مغرب
محفل
Taleem shareef:
Gungunaye ashaar (har chay khwandaim, anal haq kahoon ya tujhey haq kahoon, jay mein raba tenu bahir samjhaan), jis ko Khuda Rasool (saw) ka jazb hasil ho us say taaluq say sab kaam banein, amal ka madar neeyat pe hota hai, Rab kay lafz aur shirq ki wazahat, faiz se sab kuch samajh aata hai, kitabon se hasil kuch nahin hoga agar faiz nahin hai, tareeqat aasan hai sirf Khuda Rasool (saw) ko raazi karnay ki koshish karein, jaahil bi wali-Allah ban jaatey hain, faiz sena ba'sena chalta hai kitaboon say nahin, achi neeyat say galat kaam mein bhi faida, jis say Khuda Rasool (saw) razi ho us kay kiye galat nahin sochna chahiye, hasab nasab, achay amal wala aale e Muhammad (saw), asar khenchey, sab masloon ko chor kar hum nein Aaqa jee (saw) ka masla sochna hai, Sheikh sahab kay paas asal fikar Aaqa jee (saw) ki lay kar aaein, Ashabi ka Aaqa jee (saw) say dil lagnay par shadi say dhiyan hatnay wala waia, jo Khuda ki muhabbat ko chor dey us par shehwat ghalib, sirf Allah aur Rasool (saw) sey muhabbat kay ashaaba (RA) kay waqiaat, Ashaba (RA) ki soch
Naat shareef:
- Tujh ko paney ki hai shart bus ik Khuda, Ishq-e-Ahmad (saw) hai jis dil mein us dil mein tu
- Aashiq ka karar na janat na hoorein
- Gar ghulam Un (saw) ka banoun mein, dur kartay hain sub ke Wo (saw) ghum
- Chaand naatia ashaar
- Jahan bhar ki ilmi kitabon ko rut le, kya paya agar dil na unse milaya
- Ho jis ko bhi Aaqa (saw) ki khairaat dum dum
- Unhein (saw) dil mein apney basaiye, fikr e khizaan phir choriye
- Un (saw) ki tadap mein guzrey lamhe jo mo'tabar hain
- Un (saw) ka agar tu ho gaya, duniya teri ho gai
- Gungunaye ashaar