Aaqa Jee SAW ki ghulami karnay say duniya qadmoon mein hoti hai, Aaqa Jee SAW bohat azmat walay hain, jo Aaqa Jee SAW ka ho gaya deen duniya us kay ho gaye, firqoon mein nahi parna, Aaqa Jee SAW nein ikhtilaaf pasand nahin farmaya, ilm samandar hai, jo baat Aaqa Jee SAW say saabit hai usay maan'na hai, deen mein behas mana hai, imaan walay aapas mein mohabbat kartay hain, hum laila majnu walay hain, zikar azkar say Allah Rasool SAW say rabita paida hota hai, zikar azkar insaan ki Rohani taaqat hai is say tauba ka ehsas peda hota hai, tareeqat mein niyat kar lein aahista aahista rehmat aaye gi, Allah Rasool SAW ko raazi karnay ki niyat kar lo, har cheez Allah kay haath mein hai, aamaal ki wajah say museebatein aati hain