Jo amal Quran o hadees say saabit ho woh hi karein, shirk na qabil e maffi gunah, dua ki qabuliyat ki ghariyaan, jo kaam Aaqa Jee SAW aur sahaba karam R.A. nay kiye un pay amal karna hai, kasrat e durood shareef say museebatein duur hoti hain, Khuda Rasool SAW kay kamoon ko mohabbat aur ikhlaas say karein, kisi bhi haalat mein Khuda Rasool SAW ki mohabbat kam nahi honi chahiye, sachi mohabbat walay ka dhiyaan har waqt Khuda Rasool SAW ki taraf hi rehta hai, imaan waloon ki aapas mein mohabbat hoti hai, Khuda Rasool SAW ki mohabbat mein mil kar ikathay baithna, duniya ki mohabbat azaab, zikar azkar say dil ka zang utartaa hai, bemari mein Allah Taala ki rehmat aati hai, taqqabur Allah Taala ki chadar hai, imaan walay mein Allah Taala ka khauf hota hai