Ikhtilaaf walay masail nahin sun'nay, ikhtilaaf say bachein, firqoon mein nahi parna, hamara mazhab laila majnu hai, Aaqa Jee SAW kay baaghi mein imaan nahi hota, jis mein haya nahin us mein imaan nahin, Sahaba karaam R.A. Aaqa Jee SAW ki mohabbat mein kharch kartay thay, mohabbat waloon pay duniya asar nahin karti, duniya daroon say duur rahein, Aaqa Jee SAW say dil lagao, jis tarha kay bhi halaat hoon Allah Rasool SAW ka saath nahi chorna, Aaqa Jee SAW har waqt mojood hain, Aaqa Jee SAW kay saath raabtay say Allah ki rehmat aati hai, niyat theek ho gi to assar aaye ga, zikar azkar say dil zindah hota hai